Wednesday, July 4, 2012

A poem from a brilliant young doctor

The best graduate of Allama Iqbal Medical College for the session 2002 to 2007, Muhammad Zaman Khan expresses his feelings in a poem.

It is a great honor for me to introduce Dr Muhammad Zaman Khan, one of the most idealized personalities of Jinnah Hospital. Here is a glimpse of his excellence.


He expresses his feelings about the current situation in these words:

Aey Khadim-e-aala rehney de, is khidmat se bezaar hain hum
Gar jeena marna aik sa he, merney k lia tayyar hain hum
Ho malik arbon kharbon ke, aur 'Khadim' bhookhey nangoun ke?
Ye shaubada bazi rehney de, be-haal sahi, baidaar hain hum
Auroun ki to wa’da shikni par, cheekhay bhi bohat, chillaey bohat
Kuch yaad dilaya ham ne agar, to keh daala “ghaddaar hain hum”

Hum tairey a’qoubat khanoon main, goonjey hain hila kar bunyaadain
Hum cheekh nahi majbooron ki, Aa ghour se sun lalkaar hain hum

Ye ehl-e-sitam ham se larr kar, khud haamptay kaamptay phirtey hain
Lapkey to jala kar rakh dain gey, ae barq! Subak raftaar hain hum

Haan tuj se shikayat na-haq he, han tuj se taqaaza khoob nahi
Hum ne hi diye they vote tujhe, is zulm k bhi haq-daar hain hum
Wake up, Pakistan.

No comments:

Post a Comment